Humari company ko ek zimmedar aur mehnati Site Supervisor ki zaroorat hai jo construction / site par kaam ko achhi tarah se dekh-rekh aur manage kar sake.
Key Responsibilities (Kaam aur Zimmedariyan):
Site par chal rahe daily kaam ki dekh-rekh aur supervision karna.
Labour aur workers ko instructions dena aur unse timely kaam karwana.
Material aur stock ki check-up aur monitoring karna.
Kaam ki quality aur safety guidelines ka dhyan rakhna.
Daily work report manager / owner ko submit karna.
Job Details:
Job Type: Full time
Duty Timings: 9:30 AM se 6:00 PM
Salary: 8000 -10000 per month (Qualifications aur experience ke hisab se)
Location: Saili road gali no 8 pathankot
Requirements:
Pehle ka site supervision ya construction fieldwork ka experience (fresher ya 1 saal ka experience).
Basic communication skills aur team ko manage karne ki kshamta.
Punctual (samay ke paband) aur honest worker.