21 Nov
|
Camerakart
|
India
CameraKart used cameras aur camera gear khareedta aur bechta hai. Humein ek bharosemand aur mehnati ladka chahiye jo customers ke ghar se camera pickup kare aur office mein baaki kaam mein haath bataaye.
Kaam kya hoga:
Customers ke ghar/office se cameras aur accessories pickup karna
Saaman ko safely office tak laana
Zaroorat ho to delivery ya courier drop karna
Office ke chhote-mote kaam: packing, saaman sambhalna, safai, bank/market ke kaam
Team ke saath milkar baaki daily kaam mein madad karna
Requirements:
Bike chalani aani chahiye, aur valid driving license zaroori hai
Apni bike ho to preference milegi
Area ke raaste pata hon, aur Google Maps chalana aata ho
Smartphone hona chahiye
Imaandaar aur time ka paabandh ho, kyunki kaam mein mehenga saaman handle karna hai
Experience zaroori nahi hai. Freshers bhi apply kar sakte hain
Education: 12th pass
Kyun join karein:
Har mahine time pe salary
Kaam seekhne ka mauka (camera business)
Achha aur friendly maahaul
📌 Office Assistant & Field Executive New Delhi (India)
🏢 Camerakart
📍 India