28 Nov
|
Bahi Khata
|
Kanpur
Hum ek fintech startup hain. Humein ek Accountant chahiye jo hamare daily accounts sambhal sake, aur sab kuch time par aur sahi ho. Aap books of accounts, GST, TDS aur month-end closing handle karoge.
Aapka kaam (Responsibilities)
- Daily entries karna: sales, purchase, expenses, bank, journal
- Bank reconciliation karna (har month)
- Lenders/investors ka monthly interest aur TDS calculate karna, aur entries post karna
- TDS deposit karna aur TDS return file karna
- GST return file karna (GSTR-1, GSTR-3B) aur GST ka hisaab rakhna
- Vendor bills check karna aur payment ki list banana
- Month-end closing karna, aur P&L; aur Balance Sheet banana
- Loan disbursement aur EMI collection ki entries ko app/system ke saath match karna
- ROC/MCA compliance aur audit mein CA ki help karna
- Kisi bhi mismatch ya galti ko turant founder ko batana
Aapke paas ye hona chahiye (Requirements)
- B.Com / M.Com (CA Inter ya CMA Inter ho to aur accha)
- 2–5 saal ka accounting ka experience
- Tally, Vyapar ya Zoho Books jaisa software aata ho
- Excel / Google Sheets achhe se aata ho (VLOOKUP, Pivot)
- GST aur TDS ki basic aur practical knowledge (TDS 194A jaisi sections ki samajh)
- Easy English aur Hindi mein baat kar sako
- Time par kaam karna aur har cheez ka record rakhna
Ye ho to bonus
- NBFC, lending ya fintech company mein kaam kiya ho
- NCD / investor interest ka hisaab pehle kiya ho
- MCA / ROC filing ki knowledge
📌 Accountant (Kanpur)
🏢 Bahi Khata
📍 Kanpur