Humein office ki daily safai aur maintenance ke liye ek responsible aur hardworking Housekeeping Staff ki zaroorat hai.
Kaam ki Responsibilities:
Office ke andar daily sweeping, mopping aur dusting karna.
Office furniture, tables, chairs, doors aur windows ki safai maintain karna.
Office ke bahar ke passages, staircases aur common areas ki regular safai karna.
Staircase, entrance aur common pathways ko clean aur presentable rakhna.
Plants aur greenery ko regularly paani dena.
Dustbins empty karna aur garbage ko designated area mein dispose karna.
Washrooms ki safai aur hygiene maintain karna.
Safai ke liye required cleaning materials aur supplies ka dhyan rakhna.
Office premises ko hamesha clean, hygienic aur व्यवस्थित rakhna.
Requirements:
Safai ka basic experience hona preferred hai.
Responsible, punctual aur hardworking hona chahiye.
Daily assigned duties properly complete karne ki willingness honi chahiye.
Office premises ki overall cleanliness aur hygiene maintain karne ki responsibility lena.